Tuesday, May 4, 2010

Shayari: some of my choices


Today one of my friend sent me some shayaris. After a long time it look like I am in a kavi sammelan. Some of them I am writing here.

yaadon mein kabhee aap bhi khoye honge,
khulee aankon se kabhee aap bhi soye honge,
mana hasna hai aadat gum chupane ki,
par haste-haste kabhee aap bhi roye honge!!!



zindagi kisi ki amaanat nahi hoti,
jannat mein kabhi qayamat nahi hoti,
dil bohot sochkar lagana ae dost
ishq ki qaid mein kabhi zamanat nahi hoti!!


Daad chahta hun janaab....

DIN DHAL GAYA, AA GAYI RAAT
AB KAB TUM DIYA BUJHAOGE
KAB TAK APNI SHAYARI K ZEHER SE
HUM MAASOOMO KA DIL JALAOGE


Bekhudi ki zindagi hum jiya nahin karte
Jaam dusro se cheen kar hum piya nahin karte
Unko mohabbat hai to aa kar izhaar karein
Pichaa hum kisi ka kiya nahin karte



Royege yeh ankhe muskurane ke baad
ayege raat din dhal jane ke baad
kabi roothna na mujh se aye dost !
shayad yeh zindagi na rahe tere rooth jane ke baad




kuchh tabiyat hi mili thi aisi
chain se jeene ki surat na hui
jisko chaaha usey apnaa na sakey
jo mila us se mohabbat na hui

wahh wahaaa......plz kehte jayiye.


Mujhe to ye sun ke FANAA ki yad aa gayi.


Prakash Chandra Trivedi
Raebareli

No comments: